ek ek lamha mujhe zist se be-zari hai
meri har sans sulagti hui chingari hai
kya hi auraq musawwar hain kitab-e-dil ke
KHun-e-arman se har ek safhe pe gul-kari hai
zaKHm hi zaKHm hain aankhon se laga kar dil tak
soch mein hun ki ye kis qism ki dildari hai
ye simaTte hue sae ye larazte dar-o-baam
ek nai subh ke elan ki tayyari hai
har qadam par nazar aate hain salibon ke sutun
ye koi KHwab hai ya aalam-e-bedari hai
kyun uThen panw junun ke su-e-manzil 'sadiq'
ek ek gam salasil ki giran-bari hai
Ghazal
Ek ek lamha mujhe zist se be-zari hai
Sadique Indori