اردو हिंदी
Ek ek lamha ki ek ek sadi ho jaise | Shaahi Shayari
ek ek lamha ki ek ek sadi ho jaise

Ghazal

Ek ek lamha ki ek ek sadi ho jaise

Iqbal Umar

;

ek ek lamha ki ek ek sadi ho jaise
zindagi khel koi khel rahi ho jaise

dil dhaDak uTTha hai tanhai mein yun bhi aksar
baiThe baiThe koi aawaz suni ho jaise

phir raha hun main uThae hue yun bar-e-hayat
mere shane pe teri zulf paDi ho jaise

dil ka har zaKHm kuchh is tarah lahak uTTha hai
raat-bhar yaadon ki purwai chali ho jaise

aaj ki subh bhi hai waisi hi bojhal bojhal
aaj ki raat bhi aankhon mein kaTi ho jaise

jaane kis soch mein chup baiThe hain yun diwane
barf honTon pe bahut din se jami ho jaise

dil ne badla hai is andaz se pahlu 'iqbaal'
pas hi dil ke kahin aag lagi ho jaise