ek hi zinda bacha hai ye nirala pagal
jhuT ke shahr mein sach bolne wala pagal
hathon mein phul liye aae hain sab log jahan
le ke aaya hai wahan panw ka chhaala pagal
us ki aankhon mein ajab nur tha danai ka
tum ne mahfil se jise kah ke nikala pagal
dhup hai phaili hui sharq se ta-gharb magar
banTta phirta hai duniya ko ujala pagal
jis mein rakkhe hun mohabbat ke KHazane bhar kar
is tijori ko lagate nahin tala pagal
kaun samjhae teri sar-phiri kashti ko 'salim'
KHunin dariya se paDa hai tera pala pagal
Ghazal
Ek hi zinda bacha hai ye nirala pagal
Sardar Saleem