ek hi shai thi ba-andaz-e-digar mangi thi
main ne binai nahin tujh se nazar mangi thi
tu ne jhulsa diya jalta hua suraj de kar
hum ne jine ke liye ek sahar mangi thi
ham-safar kis ko kahen shams o qamar ne hum se
munh pe malne ke liye gard-e-safar mangi thi
kaun aazar hai jise apna ziyan hai maqsud
kis ne patthar ke liye ruh-e-bashar mangi thi
ek lamha koi ji le to baDi baat hai ye
is liye hum ne 'asar' umr-e-sharar mangi thi
Ghazal
Ek hi shai thi ba-andaz-e-digar mangi thi
Izhar Asar