اردو हिंदी
Ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha | Shaahi Shayari
ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

Ghazal

Ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

Aziz Hamid Madni

;

ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha
is gham se hum aur bhi haare wo bhi to majbur raha

kal tha ashkon ka aaankhon mein lekin teri yaad na puchh
kya kya moti main bhi faraham karne par majbur raha

wo aur itna pareshan-KHatir rabt-e-ghair ki baat nahin
lekin us ke chup rahne se dil ko wahm zarur raha

hum aaise nakaam-e-wafa ke ghol mein aakar baiThe ho
duniya ki taqdir badalna jin ka ek dastur raha

husn ki shart-e-wafa jo Thahri tesha o sang-e-giran ki baat
hum hon ya farhad ho aaKHir aashiq to mazdur raha

waqt ki baat hai yaad aa jaana lekin us ki baat na puchh
yun to lakhon baaten niklin tera hi mazkur raha

ai mere KHurshid-e-shabi kya wahm-e-tulu-o-ghurub tujhe
ek teri gardish aisi thi KHana-e-dil be-nur raha

ishq bhi mohr-ba-lab guzra hai duniya ki kya jurat thi
us ki nichi nazron mein bhi aisa saKHt ghurur raha

hum se us ka rabt-e-junun tha ek hansi ki baat si thi
hum ko aaKHir kyun ye KHabt-e-sai-e-na-mashkur raha

subh se chalte chalte aaKHir sham hui aawara-e-dil
ab main kis manzil mein pahuncha ab ghar kitni dur raha