ek hi masala ta-umr mera hal na hua
nind puri na hui KHwab mukammal na hua
shahr-e-dil ka jo makin hai wo bichhaDta kab hai
jis qadar dur gaya aankh se ojhal na hua
aaj bhi dil ki zamin KHushk rahi tishna rahi
aaj bhi mail-e-altaf wo baadal na hua
raushni chhan ke tere ruKH ki na mujh tak pahunche
ek diwar hui ye koi aanchal na hua
jin ko ek umr ka nazrana diye baiThe hain
aaj tak us se taaruf bhi mufassal na hua
un se milte hain bichhaD jate hain phir milte hain
zinda rahne ka amal hum se musalsal na hua
jis pe rakhna thi mujhe apni asas-e-hasti
apni qismat mein 'munawar' wahi ek pal na hua
Ghazal
Ek hi masala ta-umr mera hal na hua
Munawwar Hashmi