ek hi KHat mein hai kya haal jo mazkur nahin
dil to dil ishq mein sada waraq-e-tur nahin
ek hum hain ki kisi baat ka maqdur nahin
ek wo hain ki kisi rang mein majbur nahin
imtihan-gah-e-mohabbat nahin gul-e-zar-e-KHalil
kaun aisa hai jo zaKHmon se yahan chur nahin
naza ka waqt hai baiTha hai sirhane koi
waqt ab wo hai ki marna hamein manzur nahin
qabil-e-ghaur hai ai jalwa-paristan-e-azal
ye kahani hai meri waqia-e-tur nahin
misr ka chand ho aaghosh mein zindan ke tulua
fitrat-e-husn badal jae to kuchh dur nahin
sar jhukae dar-e-daulat se palaTne wale
be-niyazi ki adaen hain wo maghrur nahin
jubba-sai bhi gawara nahin karta koi
uTh ke jaana dar-e-daulat se bhi dastur nahin
ishq mein sarhad-e-manzil se kuchh aage honge
us ka rona hai koi sai bhi mashkur nahin
dil mein paiwast hui thi jo mere roz-e-azal
hai wahi shoKH-nazar saiqa-e-tur nahin
dil ko bhi di gai hai KHidmat-e-dard-e-abadi
sirf aankhen hi meri rone pe mamur nahin
sar-e-mizhgan mere aansu ka sitara chamka
dar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin
sad surKHi se kiya kis ne sar-e-fard-e-jamal
apne aalam mein tere dida-e-maKHmur nahin
zindagi KHatm hui jab to ek aawaz suni
aa gaya main tere nazdik bas ab dur nahin
ruh kahti hui nikli hai dam-e-naza 'aziz'
un se is bazm mein milna hamein manzur nahin
Ghazal
Ek hi KHat mein hai kya haal jo mazkur nahin
Aziz Lakhnavi