ek hi ghar mein rakh diye kis ne juda juda charagh
tere liye jala charagh mere liye bujha charagh
ishq-o-talab ki rah mein baad-e-hawas bhi tez thi
main ne jalaya raat-bhar kar ke KHuda KHuda charagh
subh hui to aaftab sari bisat ulaT gaya
raat usi maqam par raunaq-e-bazm tha charagh
waqt-e-sahar jo puchh le koi to kya bataunga
taq-e-junun pe raat-bhar kis ke liye jala charagh
kaun tha mere ru-ba-ru aalam-e-wajd-o-haal mein
kis ki nigah-e-lutf se ban gaya aaina charagh
wadi-e-jaan mein dafatan kaisi ye raushni hui
kis ki nazar ne kar diye manzar-e-shab mein wa charagh
koi KHabar na la saki jis ki hawa-e-tund bhi
rakhte hain is maqam ka sara ata-pata charagh
taKHti-e-shab pe likh diya waqt ne ye bhi waqia
zard hawa ke samne sina-sipar raha charagh
mujh ko 'ziya' wo chahiye ghar jo mera ujal de
mera na masala qamar mera na muddaa charagh
Ghazal
Ek hi ghar mein rakh diye kis ne juda juda charagh
Zia Faruqi