ek hi aawaz par wapas palaT aaenge log
tujh ko phir apne gharon mein DhunDne jaenge log
Dubte suraj ki surat mera chehra dekh lo
phir kahan bab-e-maani DhunDne jaenge log
mat kaho qismat hai apni be-dili naguftani
phir sahar hogi daraKHshan phir bhale aaenge log
pal jhapakne tak hai ye hangama-e-waraftagi
jab nazar se dur hoge bhulte jaenge log
phir nai KHwahish ke zarron se banaenge nagar
phir nai rasm-e-talab rasm-e-wafa laenge log
munhasir rangon ki aatish par nahin hai dilkashi
maile kapDon mein bhi tujh ko dekhne aaenge log
Ghazal
Ek hi aawaz par wapas palaT aaenge log
Kishwar Naheed