اردو हिंदी
Ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai | Shaahi Shayari
ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai

Ghazal

Ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai

Moid Rashidi

;

ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai
KHana-e-dil mein nihan jaise KHuda rahta hai

mere andar hi koi jang chhaDi hai shayad
mere andar hi koi dasht-e-bala rahta hai

jab bhi nazdik se mahsus kiya hai KHud ko
main ne dekha hai koi mujh se KHafa rahta hai

hum to aabaad jaziron se guzar jate hain
aur phir dur talak ek KHala rahta hai

KHamushi ka pas-e-diwar-e-junun hai saya
is taraf silsila-e-ah-o-buka rahta hai