ek hum hi nahin taqdir ke mare sahab
log hain baKHt-zada sare ke sare sahab
mera neze pe saja sar hai payam-e-ghairat
koi neze se mera sar na utare sahab
main bhi bachpan mein KHalaon ka safar karta tha
khela karte the mere sath sitare sahab
dafatan hum ne sila paya munajaton ka
dafatan samne aae wo hamare sahab
jaanwar mein haya insan se ziyaada dekhi
ulTe bahne lage tahzib ke dhaare sahab
mujh mein duniya rahi aur main bhi raha duniya mein
mujh ko ghere rahe har waqt KHasare sahab
taki dariyaon ki wahshat rahe hawi sab par
Dub jata hun main dariya ke kinare sahab
istaqamat ka gala ghonT ke dam lete hain
kitne wahshi hua karte hain sahaare sahab
shukriya aap ne bardasht to kar li ye ghazal
aap bhi jaiye ab hum bhi sidhaare sahab
Ghazal
Ek hum hi nahin taqdir ke mare sahab
Nadeem Sirsivi