ek ghar apne liye tayyar karna hai mujhe
aur ek basti ko bhi mismar karna hai mujhe
is andhere mein chhupana hai koi dushman magar
is ujale mein kisi par war karna hai mujhe
ek naddi ke kinare par Thaharne ke liye
sham hone tak ye dariya par karna hai mujhe
DhunD laya hun KHushi ki chhanw jis ke waste
ek gham se bhi use do-chaar karna hai mujhe
bhandhni hai aaKHiri ek chaal se sari bisat
aur us ka daw bhi be-kar karna hai mujhe
kis samundar mein utarna hai paDaw ke liye
kis nagar ko ab gale ka haar karna hai mujhe
ek KHwahish hai jo shayad umr bhar puri na ho
ek sapne se hamesha pyar karna hai mujhe
ek jhonke ko rawan rakhna hai sehn-e-bagh mein
ek gul ko shamil-e-guftar karna hai mujhe
ek an-jaani sada ki khoj mein chalte hue
ek mubham rabt ko diwar karna hai mujhe
Ghazal
Ek ghar apne liye tayyar karna hai mujhe
Ghulam Husain Sajid