ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki
aage rah ka sannaTa hai pichhe gunj khaDaun ki
aankhon aankhon hariyali ke KHwab dikhai dene lage
hum aise kai jagne wale nind hue sahraon ki
apne aks ko chhune ki KHwahish mein parinda Dub gaya
phir kabhi lauT kar aai nahin dariya par ghaDi duaon ki
Dar se bichhDa hua kabutar shaKH se TuTa hua gulab
aadha dhup ka sarmaya hai aadhi daulat chhanw ki
is raste par pichhe se itni aawazen aain 'jamal'
ek jagah to ghum ke rah gai eDi sidhe panw ki
Ghazal
Ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki
Jamal Ehsani