اردو हिंदी
Ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram | Shaahi Shayari
ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram

Ghazal

Ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram

Majeed Amjad

;

ek ek jharoka KHanda-ba-lab ek ek gali kohram
hum lab se laga kar jam hue badnam baDe badnam

rut badli ki sadiyan lauT aain uf yaad kisi ki yaad
phir sail-e-zaman mein tair gaya ek nam kisi ka nam

dil hai ki ek ajnabi-e-hairan tum ho ki paraya des
nazron ki kahani ban na sakin honTon pe ruke paigham

raunden to ye kaliyan nish-e-bala chumen to ye shoale phul
ye gham ye kisi ki den bhi hai inam ajab inam

ai tirgiyon ki ghumti rau koi to rasili subh
ai raushniyon ki Dolti lau ek sham nashili sham

rah rah ke jiyale rahiyon ko deta hai ye kaun aawaz
kaunain ki hansti munDeron par tum ho ki gham-e-ayyam

be-barg shajar gardun ki taraf phailaen humakte hat
phulon se bhari Dhalwan pe sukhe pat karen bisram

hum fikr mein hain is aalam ka dastur hai kya dastur
ye kis ko KHabar is fikr ka hai dastur-e-do-alam nam