ek ek ghaDi us ki qayamat ki ghaDi hai
jo hijr mein taDpae wahi raat baDi hai
ye zoaf ka aalam hai ki taqdir ka likha
bistar pe hun main ya koi taswir paDi hai
betabi-e-dil ka hai wo dilchasp tamasha
jab dekho shab-e-hijr mere dar pe khaDi hai
dekha to zamana gila-e-hijr se kam tha
samjha tha ki furqat se shab-e-wasl baDi hai
rone se haya shama ki zahir ho to kyun kar
uryan hai magar beach mein mahfil ke khaDi hai
ab tak mujhe kuchh aur dikhai nahin deta
kya jaaniye kis aankh se ye aankh laDi hai
mar jaun jo main wadi-e-ulfat mein ajab kya
maqsad hai mera saKHt to manzil bhi kaDi hai
kab aaoge waqt aa gaya duniya se safar ka
waqfa hai koi dam ka na saat na ghaDi hai
kad hai wo mujhe kuch mein aane nahin dete
apna hai KHayal un ko mujhe dil ki paDi hai
himmat ko nazar pa nahin sakti kisi surat
dil koi baDa hai jo koi aankh baDi hai
ai hashr numainda-e-raftar Thahar ja
us zulf ke sadqe jo teri panw paDi hai
taDpa diya dil gundh ke gesu shab-e-waslat
main jaanta tha piTh pe phulon ki chhaDi hai
baala-e-jabin KHun jab aaya to araq kya
ai jalwa-gah-e-husn teri dhup kaDi hai
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun
ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai
aaraish-e-gesu ko hasin mang rahe hain
'saqib' ki ghazal kya koi moti ki laDi hai
Ghazal
Ek ek ghaDi uski qayamat ki ghaDi hai
Saqib Lakhnavi