ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai
ek tabiat hai ki aazar-e-hunar khinchti hai
ek jaanib liye jati hai qanaat mujh ko
ek jaanib hawas-e-luqma-e-tar khinchti hai
hijr ka aish kahan hai meri qismat mein ki ab
zindagi ranj ba-andaz-e-digar khinchti hai
ek manzil hai jo imkan se bahar hai kahin
ek masafat hai ki bas gard-e-safar khinchti hai
ek taraf dil ka ye israr ki KHalwat KHalwat
ek taraf KHwahish-e-taskin-e-nazar khinchti hai
Ghazal
Ek duniya ki kashish hai jo idhar khinchti hai
Irfan Sattar