ek duniya kah rahi hai kaun kis ka aashna
main hi wo tha jis ne ek duniya ko samjha aashna
puchhte hain bujhte lamhon ke khanDar har sham ko
ho gai kya dil ki wo sham-e-KHaraba aashna
DhunDhta hai der se khoe hue sikke ki tarah
mazi-e-KHamosh ko imroz farda-ashna
ye zamin sadiyon pe jis ki aag ne badla tha rup
rafta rafta ho chali ek barg shoala-ashna
naKHl-ha-e-rah-guzar tum kya hamein pahchante
kitne sae kho chuka hai zauq-e-sahra-ashna
karobar-e-qurbat-o-duri mein aksar ban gae
ajnabi iKHlas gesu aashna na-ashna
wusat-e-daman ka 'hurmat' jaeza lena paDa
mahw-e-ghawwasi hai kab se fikr dariya-ashna
Ghazal
Ek duniya kah rahi hai kaun kis ka aashna
Hurmatul Ikaram