اردو हिंदी
Ek duniya bana gai miTTi | Shaahi Shayari
ek duniya bana gai miTTi

Ghazal

Ek duniya bana gai miTTi

Laiq Aajiz

;

ek duniya bana gai miTTi
jis ghaDi ruh pa gai miTTi

jis ne socha ki raund den us ko
aaKHir ek din chaba gai miTTi

main ne jitne bhi bij boe the
banjh aurat thi kha gai miTTi

tishnagi thi kuen ki qimat mein
badli chhai gira gai miTTi

surKH-ru hai wo sari duniya mein
sath jis ka nibha gai miTTi

sab qabaale uTha ke le aai
kisi ki hai ye bata gai miTTi

kis ne kab kis ko kaise qatl kiya
shakl sab ki chhupa gai miTTi