ek din zehn mein aaseb phirega aisa
ye saman-zar nazar aaega sahra aisa
main ne kya ranj diye ashk na lauTae mujhe
ai mere dil koi be-faiz na dekha aisa
ek muddat se koi lahar na uTThi mujh mein
meri aankhon se chhupa chand ka chehra aisa
raat kahti hai mulaqat na hogi apni
tu koi KHwab na main nind ka mata aisa
jism ki sath pe kaghaz ki tarah zinda hain
tu samundar hai na main Dubne wala aisa
tere chehre pe ujale ki saKHawat aisi
aur meri ruh mein nadar andhera aisa
har nae dard ki poshak pahan li main ne
jaan mohazzab na hui main tha barahna aisa
Ghazal
Ek din zehn mein aaseb phirega aisa
Saqi Faruqi