ek din wasl se apne mujhe tum shad karo
phir meri jaan jo kuchh chaho so be-dad karo
gar kisi ghair ko farmaoge tab jaanoge
we hamin hain ki baja lawen jo irshad karo
ab to viran kiye jate ho tarab-KHana-e-dil
aah kya jaane kab aa phir ise aabaad karo
yaad mein us qad o ruKHsar ke ai gham-zadagan
ja ke Tuk bagh mein sair-e-gul-o-shamshad karo
le ke dil chaho ki phir dewe wo dilbar malum
kaise hi nala karo kaisi hi fariyaad karo
surma-e-dida-e-ushshaq hai ye ai KHuban
apne kuche se meri KHak na barbaad karo
dekh kar tair-e-dil aap ko bhula parwaz
KHwah paband karo KHwah use aazad karo
aap ki chah se chahen hain mujhe sab warna
kaun phir yaad kare tum na agar yaad karo
sham-e-afroKHta jab bazm mein dekho yaro
haal-e-'bedar'-e-jigar-soKHta wan yaad karo
Ghazal
Ek din wasl se apne mujhe tum shad karo
Meer Mohammadi Bedar