ek din raat ki sohbat mein nahin hote sharik
hum ko kya faeda gar aap bahut hain nazdik
ab to Tuk ho ke khaDe baat hamari sun lo
raat hai kucha-o-bazar paDe hain tarik
pan jo hath se kal ghair ke tu ne khaya
pi ke lohu ko gharaz ghunT rahe hum jun pik
dur ho wadi-e-majnun se nikal ai wahshat
kis wasile se mili tujh ko jahan ki tamlik
wadi-e-ishq mein 'insha' tu sambhal kar jata
han KHabar-dar ki ye rah bahut hai tarik
Ghazal
Ek din raat ki sohbat mein nahin hote sharik
Insha Allah Khan u0027Inshau0027