ek diwar si kohre ki khaDi hai har su
par sameTe hue baiThi hai chaman mein KHushbu
ye andhere bhi hamare liye aaina hain
ru-ba-ru karte hain kirdar ke kitne pahlu
in sulagte hue lamhon se ye milta hai suragh
dam-ba-dam TuT raha hai shab-e-gham ka jadu
dam-bardar koi dasht-e-wafa se guzra
surat-e-KHwab hua husn-e-KHiram-e-ahu
phir hua habs ka ehsas-e-giran-bar 'suhail'
phir mera dil hai talab-gar-e-hawa-e-gesu
Ghazal
Ek diwar si kohre ki khaDi hai har su
Adeeb Suhail