ek diwar agar ho to yahan sar maren
ek diwar ke pichhe hain kai diwaren
hum ko lauTa de hamara wo purana chehra
zindagi tere liye rup kahan tak dhaaren
pas kuchh apne bacha hai to yahi ek lamha
aaKHiri daw hai jiten ki ye bazi haaren
tum kabhi aag mein pal bhar to utar ke dekho
kaun kahta hai ki shoalon mein nahin mahkaren
qaid hain kaun se zindan mein na jaane hum log
roz unchi hui jati hain 'qamar' diwaren

Ghazal
Ek diwar agar ho to yahan sar maren
Qamar Iqbal