ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai
zulf o zanjir se yak-guna shaghaf kya kam hai
shauq ke hath bhala chand ko chhu sakte hain
chandni dil mein rahe ye bhi sharaf kya kam hai
kaun is daur mein karta hai junun se sauda
tere diwanon ki TuTi hui saf kya kam hai
aag bhaDki jo idhar bhi to bachegi kya shai
shola-e-shauq ki lau ek taraf kya kam hai
main ne har mauj ko mauj-e-guzaran samjha hai
warna tufanon ka ruKH meri taraf kya kam hai
kali raaton mein ujale se mohabbat ki hai
subah ki bazm mein apna ye sharaf kya kam hai
Ghazal
Ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai
Aal-e-Ahmad Suroor