ek dhundla sa sitara bhi bahut hota hai
shab-e-gham mein ye sahaara bhi bahut hota hai
gardish-e-waqt pe kya hai meri barbaadi mein
hath dar-parda tumhaara bhi bahut hota hai
be-qararan-e-mohabbat ki tasalli ke liye
un ka adna sa ishaara bhi bahut hota hai
kyun main tufan o talatum ki panahen DhunDun
Dubne ko to kinara bhi bahut hota hai
Dubne wale ko dariya-e-mohabbat mein 'nasim'
ek tinke ka sahaara bhi bahut hota hai
Ghazal
Ek dhundla sa sitara bhi bahut hota hai
Naseem Shahjahanpuri