ek dhoka hai dilkashi kya hai
hum samajhte hain dosti kya hai
aansuon ki ho aur umr daraaz
chand-taron ki raushni kya hai
husn ki ek nigah jaan-parwar
ishq ki aur zindagi kya hai
hum ne dekha hai bhigi palkon ko
aap kya jaanen tishnagi kya hai
ruThna ek ada to hai lekin
ye hamesha ki barhami kya hai
dil ko nisbat hai un ke dil se 'rais'
jazb-e-ulfat mein ab kami kya hai

Ghazal
Ek dhoka hai dilkashi kya hai
Raees Akhtar