ek-dam KHushk mera dida-e-tar hai ki nahin
majare se mere tujh ko bhi KHabar hai ki nahin
yun to uThte hai mere dil se hazaron nale
lekin in KHana-KHarabon mein asar hai ki nahin
haal mera tujhe be-dard nahin gar bawar
dekh le aa ke ki ab nau-e-digar hai ki nahin
mere ghar kyunki tu aawe ki gali-kuchon mein
tere mushtaq kahan aur kidhar hai ki nahin
tujh mein bu pai na mutlaq kahin jinsiyyat ki
nasl-e-adam se tu ai shoKH pisar hai ki nahin
bul-hawas dil ko kar apne zara bas mein 'hasrat'
mard-e-be-sabr tujhe kuchh bhi jigar hai ki nahin
Ghazal
Ek-dam KHushk mera dida-e-tar hai ki nahin
Hasrat Azimabadi