ek charagh yahan mera hai ek diya wahan tera
bich mein aqlimen paDti hain pani aur andhera
koi na jaane kaun sa lafz hai jis se ji uTThunga
jis tair mein jaan hai meri us ka dur basera
sahil par to hath ko hath sujhai nahin deta hai
shayad kisi jahaz mein bhar kar lae koi sawera
bhara hua hai jaanwaron aur sanpon se ye jangal
hijr dikhai deta tha bahar se sabz ghanera
dhup aur barish bhejne wale meri bhi sun lena
tere bagh ke goshe mein ek kachcha phul hai mera
Ghazal
Ek charagh yahan mera hai ek diya wahan tera
Mohammad Izhar ul Haq