ek bhi harf na tha KHush-KHabari ka likkha
nama-e-waqt mila aur kisi ka likkha
aa base kitne nae log makan-e-jaan mein
baam-o-dar par hai magar nam usi ka likkha
mauja-e-ashk se bhigi na kabhi nok-e-qalam
wo ana thi ki kabhi dard na ji ka likkha
koi jiddat to koi husn-e-taghazzul samjha
marsiya jab bhi koi apni sadi ka likkha
baat shirin si lagi fan ke taraf-daron ko
qissa har-chand 'hasan' koh-kani ka likkha

Ghazal
Ek bhi harf na tha KHush-KHabari ka likkha
Hasan Nayeem