اردو हिंदी
Ek bhi chain ka bistar nahin hone deta | Shaahi Shayari
ek bhi chain ka bistar nahin hone deta

Ghazal

Ek bhi chain ka bistar nahin hone deta

Abdussamad ’Tapish’

;

ek bhi chain ka bistar nahin hone deta
mere ghar ko wo mera ghar nahin hone deta

nit-naya ek shagufa wo dikhata hai mujhe
zulm ki had wo muqarrar nahin hone deta

sab ko dikhlata hai wo chhoTa bana kar mujh ko
mujh ko wo mere barabar nahin hone deta

kaisi sazish hai ye us ki zara main bhi dekhun
kyun mujhe wo sar-e-manzar nahin hone deta

KHauf kaisa hai ye shahin ke qabile mein 'tapish'
kyun mamlun mein koi par nahin hone deta