اردو हिंदी
Ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin

Ghazal

Ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin

Kamil Bahzadi

;

ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin
zindagani meri Thokar ke siwa kuchh bhi nahin

aap daman ko sitaron se sajae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke siwa kuchh bhi nahin

tera daman to chhuDa le gae duniya wale
ab mere hath mein saghar ke siwa kuchh bhi nahin

meri TuTi hui kashti ka KHuda hafiz hai
dur tak gahre samundar ke siwa kuchh bhi nahin

log bhopal ki tarif kiya karte hain
is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin