ek benam-o-nishan ruh ka paikar hun main
apni aankhon se ulajhta hua manzar hun main
kaun bahte hue pani ko sada deta hai
kaun dariya se ye kahta hai samundar hun main
mujh ko dam-bhar ki rifaqat bhi hawa ko na mili
apni parchhain se lipTa hua patthar hun main
yahi ujDi hui basti hai Thikana mera
DhunDne wale isi KHak ke andar hun main
qahr ban jaengi ye KHun ki pyasi rahen
zindagi mujh mein simaT aa ki tera ghar hun main
Ghazal
Ek benam-o-nishan ruh ka paikar hun main
Shamim Hanafi