ek be-nam si diwar hai bahar mere
kaun jaane jo naya shahr hai andar mere
fan ke paimane subuk harf ke kuze nazuk
kaise samjhaun ki kuchh dukh hain samundar mere
koi mausam ho meri chhap mera rang apna hai
meri ye waza ki be-waza hain manzar mere
mere hi ruKH ka araq jauahr-e-gul-ha-e-hunar
zar-gari kaam mera zaKHm muqaddar mere
kaise main panw ki gardish ko ghalat Thahraun
ki hai gardish hi ka ehsan lahu par mere
ab ke bhi chashm-e-numu jagi to kya farq paDa
wahi surat ki samar auron ke patthar mere
tajraba kar le mere shahr ki sarhad pe ghanim
lauh-e-maidan mera harf hain lashkar mere
aane walon se kaho yun na karen shor buland
kai ghar aur bhi hain ghar ke barabar mere
bol hain ras na sahi lamhe mein narmi na sahi
kuchh to hai baat jo shohre hain ye 'mahshar' mere
Ghazal
Ek be-nam si diwar hai bahar mere
Mahshar Badayuni