ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko
warna kya kuchh nahin hota hai yahan hone ko
dekh bedard zamane ki zabun-haali dekh
ek shana nahin milta hai jahan rone ko
raat-bhar KHud se gale mil ke bahut roti hun
jhuTe munh bhi nahin kahta hai koi sone ko
kitni maili hai hawasnak nigahon ki chamak
ki samundar bhi bahut kam hai jise dhone ko
is ko bhi hijr ka tawan to bharna hoga
koi dam mein hai mukafat-e-amal hone ko
meri aawaz bhi mujh tak nahin pahunchegi jahan
main ne apne liye rakkha hai isi kone ko
kaise viran hain patthar se bhare khet mere
hal chalane ko nahin bij nahin bone ko
koi kis tarah mere haal se waqif hota
meri aankhon mein koi ashk na tha rone ko
kho gae KHwab to aisi bhi baDi baat nahin
main ne baqi hi kahan chhoDa hai kuchh khone ko
aasmanon mein kise DhunD rahi hun 'sima'
wo to baiTha hai mere dil mein KHuda hone ko

Ghazal
Ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko
Seema Naqvi