ek barchhi se mar jate ho
dar par aa jab pukar jate ho
hum se badte ho shart phir dekho
bar bar haar haar jate ho
usi raste se dekhta hun main
jab na tab ho do-chaar jate ho
bhala jate to ho khaDe hi khaDe
hum se ho ham-kanar jate ho
yun chaDha juta kas kamar ho chale
jab se ganga ke par jate ho
yaad mein kis ki ghun-ghuna-unna
yun bajate sitar jate ho
'azfari' kis ke shauq mein dauDe
nange pa munh-nahaar jate ho
Ghazal
Ek barchhi se mar jate ho
Mirza Azfari