ek arz-e-muddaa hone se pahle
soch lena tha KHuda hone se pahle
KHwahishen kitni adhuri rah gai hain
jism o jaan mein fasla hone se pahle
aaKHiri tahrir hai aab-e-rawan par
aaKHiri bosa qaza hone se pahle
is qadar miTha na hona chahiye tha
un labon ko zaiqa hone se pahle
us ki aankhon ke piyale nachte hain
kho gae kitne nasha hone se pahle
kaun jaane Dubna hai ya ubharna
paniyon mein rasta hone se pahle
KHud-kushi kar li chamakte chand ne bhi
aaKHir-e-shab aaina hone se pahle
shahr se shadan guzar jaana hai behtar
mushtail aab-o-hawa hone se pahle
wo makin-e-dil hua KHurshid-'akbar'
ghar ka darwaza khula hone se pahle
Ghazal
Ek arz-e-muddaa hone se pahle
Khursheed Akbar