ek anhoni ka Dar hai aur main
dasht ka andha safar hai aur main
hasrat-e-tamir puri yun hui
hasraton ka ek nagar hai aur main
baam-o-dar ko nur se nahla gaya
ek uDti si KHabar hai aur main
mashghala Thahra hai chehre dekhna
us ke ghar ki rahguzar hai aur main
jab se aangan mein uThi diwar hai
is haweli ka khanDar hai aur main
waqt ke parde pe ab to roz-o-shab
ek tamasha-e-digar hai aur main
jaane kya anjam ho 'nasir' mera
ek yar-e-be-KHabar hai aur main
Ghazal
Ek anhoni ka Dar hai aur main
Nasir Ali Syed