اردو हिंदी
Ek ajib rag hai ek ajib guftugu | Shaahi Shayari
ek ajib rag hai ek ajib guftugu

Ghazal

Ek ajib rag hai ek ajib guftugu

Jameeluddin Aali

;

ek ajib rag hai ek ajib guftugu
sat suron ki aag hai aaThwin sur ki justuju

bujhte hue mere KHayal jin mein hazar-ha sawal
phir se bhaDak ke ruh mein phail gae hain chaar-su

tira-shabi pe sabr tha so wo kisi ko bha gaya
aap hi aap chha gaya ek sahab-e-rang-o-bu

hansti hui gai hai subh pyar se aa rahi hai sham
teri shabih ban gai waqt ki gard hu-ba-hu

phir ye tamam silsila kya hai kidhar ko jaega
meri talash dar-ba-dar tera gurez ku-ba-ku

KHun-e-junun to jal gaya shauq kidhar nikal gaya
sust hain dil ki dhaDkanen tez hai nabz-e-arzu

tera mera qusur kya ye to hai jabr-e-irtiqa
bas wo jo rabt ho gaya aap hi pa gaya numu

main jo raha hun be-suKHan ye bhi hai ehtiram-e-fan
yani mujhe aziz thi apni ghazal ki aabru