ek aazar hui jati hai shohrat hum ko
KHud se milne ki bhi milti nahin fursat hum ko
raushni ka ye musafir hai rah-e-jaan ka nahin
apne sae se bhi hone lagi wahshat hum ko
aankh ab kis se tahayyur ka tamasha mange
apne hone pe bhi hoti nahin hairat hum ko
ab ke ummid ke shole se bhi aankhen na jalin
jaane kis moD pe le aai mohabbat hum ko
kaun si rut hai zamane mein hamein kya malum
apne daman mein liye phirti hai hasrat hum ko
zaKHm ye wasl ke marham se bhi shayad na bhare
hijr mein aisi mili ab ke masafat hum ko
dagh-e-isyan to kisi taur na chhupte 'amjad'
Dhanp leti na agar chadar-e-rahmat hum ko
Ghazal
Ek aazar hui jati hai shohrat hum ko
Amjad Islam Amjad