ek aayat paDh ke apne-ap par dam kar diya
hum ne har chehre ki jaanib dekhna kam kar diya
ehtiraman us ke qadmon mein jhuka nadan main
us ne mera qad hamesha ke liye kam kar diya
mujh se auron ki judai bhi sahi jati nahin
main ne do bhigi hui palkon ko baham kar diya
khil rahe hain mujh mein duniya ke sabhi nayab phul
itni sarkash KHak ko kis abr ne nam kar diya
kar rahe the ishq mein sud o ziyan ka wo hisab
un ke taKHmine ne mera dard bhi kam kar diya
sath jitni der rah lun kaun sa khulta hai wo
us ne danista mere sheron ko mubham kar diya
Ghazal
Ek aayat paDh ke apne-ap par dam kar diya
Nomaan Shauque