اردو हिंदी
Ek aashna akasr pas se guzarta hai | Shaahi Shayari
ek aashna akasr pas se guzarta hai

Ghazal

Ek aashna akasr pas se guzarta hai

Usha Bhadoriya

;

ek aashna akasr pas se guzarta hai
mujh pe meri sachchai aashkar karta hai

kis qadar haTela hai tera be-zaban saya
jism ki tarah akasr ruh mein utarta hai

aap kis liye mujh ko dekhte hain hairat se
aadmi mohabbat mein kuchh bhi kar guzarta hai

kya KHabar ye basti hi aandhiyon mein uD jae
ek parinda par apne kholne se Darta hai

tere nam ke sae rakh ke apne honTon par
sirf main bikharti hun tu kahan bikharta hai

ek qarib ka rishta pherta hai jab nazren
aadmi nahin marta e'tibar marta hai

be-zaban lakiren hain na-murad KHake hain
dekhna hai ab in mein kaun rang bharta hai

KHauf qurbaton ka bhi KHauf faslon ka bhi
zindagi ka har lamha Dubta ubharta hai

jab tumhaare bare mein sochti hun main 'usha'
aasman se dil mein nur sa utarta hai