ek aaseb ka saya tha jo sar se utra
jaise ek tair-e-manhus shajar se utra
yun laga jaise giran-bari-e-shab KHatm hui
ghaza-e-kizb-o-riya ru-e-sahar se utra
apna ghar bhi mujhe zindan ki tarah lagta tha
zang-alud sa tala mere dar se utra
shayad ab talKH haqaeq se shanasai ho
kor-chashmi ka ye parda sa nazar se utra
gham ka izhaar nahin ashk-e-nadamat jaano
qatra-e-ab agar dida-e-tar se utra
rahraw-e-dasht-e-bala ranj-e-safar bhulega
taKHt-e-bilqis agar gard-e-safar se utra
ab shafaq-rang ujalon ka saman dekhenge
halqa-e-abr-e-siyah shams-o-qamar se utra
Ghazal
Ek aaseb ka saya tha jo sar se utra
Shaukat Kazmi