ek aalam ne jubba-sai ki
ai buto tum ne bhi KHudai ki
aashiqon ke lahu ki pyasi hain
machhliyan us kaf-e-hinai ki
zulf-e-pur-pech se jo dil uljha
bich mein raKH paDa safai ki
murgh-e-be-baal-o-par hun ai sayyaad
aarzu hai kisi rihai ki
ai junun dasht ko chalenge hum
hai qasam is barahna-pai ki
sar juda hum ne apna kar Dala
aai jab guftugu judai ki
phir gaya yar ghar ke pas aa kar
baKHt-e-bargashta ne burai ki
saikDon jame tujh pe phaTte hain
dhum hai teri mirzai ki
tujh se to hum ko ai KHam-e-abru
thi na ummid kaj-adai ki
koi qatil ki rah bhula tha
ai ajal tu ne rahnumai ki
dil kahin aur hum ne aTkaya
be-wafaon se bewafai ki
na gai zahidon ke pas kabhi
duKHtar-e-raz ne parsai ki
shahr mein jaegi meri pa-posh
qadr wan kya barahna-pai ki
saf hai aaina tan-e-pur-nur
hai dalil us pe KHud-numai ki
kasa-e-mah kyun na ho pur-nur
barson us kuche ki gadai ki
kaba-e-dil mein bhi maqam kiya
ai buto tum ne kya rasai ki
KHat ke aane pe bhi mukaddar hai
surat ab kaun si safai ki
baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab to surat nahin rihai ki
kis ke kuche ki rah bhula hun
KHizr ne bhi na rahnumai ki
shah kahlae har tarah se 'wazir'
baadshahi na ki gadai ki
Ghazal
Ek aalam ne jubba-sai ki
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi