ehtiyatan use chhua nahin hai
aadmi hai koi KHuda nahin hai
dasht mein aate jate rahte hain
ye hamare liye naya nahin hai
tum samajhte ho naKHuda KHud ko
tum pe dariya abhi khula nahin hai
jis ka hal sochne mein waqt lage
wo mohabbat hai masala nahin hai
bagh par sher kahne walon ka
ek misra hara-bhara nahin hai
ret hi ret hai tah-e-dariya
yani sahra abhi mera nahin hai
aao chalte hain ab KHala ki taraf
sun rahe hain wahan KHala nahin hai
Ghazal
Ehtiyatan use chhua nahin hai
Imran Aami