اردو हिंदी
Ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai | Shaahi Shayari
ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai

Ghazal

Ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai

Mohsin Bhopali

;

ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai
jis qadar zulm baDhe azm siwa hota hai

saut o aahang hi pairaya-e-izhaar nahin
be-nawai mein bhi andaz-e-nawa hota hai

gham-zado daera-e-gham se nikal kar dekho
dard se dard ka ehsas baDa hota hai

itne badle gae aadab ki ab mahfil mein
dil ki dhaDkan pe bhi ehsas-e-saza hota hai

rawish-e-waqt se mayus na hon ahl-e-nazar
saneha qismat-e-arbab-e-wafa hota hai