ehtimam-e-rang-o-bu se gulistan paida karen
aao mil-jul kar bahaar-e-be-KHizan paida karen
kyun sukut-e-be-mahal se dastan paida karen
dida-o-danista apne raazdan paida karen
ras aa sakta hai mir-e-karwan banne ka KHwab
shart ye hai pahle apna karwan paida karen
kar-arai to KHud hai hasil-e-takmil-e-kar
dil mein kya andesha-e-sud-o-ziyan paida karen
apna e'ajaz-e-tasawwur dekhne ki chiz hai
hum jo chahen to makan mein la-makan paida karen
waqt ko zid hi badal do rasm-e-arz-e-muddaa
dil ye kahta hai ki hangama kahan paida karen
aap ki marzi ka hai paband-e-rang-e-gulistan
aap chahen to bahaar-e-jawedan paida karen
ruh par hawi na ho jae faza-e-sogwar
hum gham-e-dil se nishat-e-jawedan paida karen
koshish-e-tamir ki taKHrib-samani na puchh
aashiyan-bardar shaKHen bijliyan paida karen
han sikha den rang-e-ruKH ko aaina-dari ka fan
bahr-e-arz-e-muddaa hum tarjuman paida karen
phir bulata tun ke ye tewar kahan baqi 'uruj'
haal-e-dil kah kar jawab-e-darmiyan paida karen
Ghazal
Ehtimam-e-rang-o-bu se gulistan paida karen
Urooj Zaidi Badayuni