اردو हिंदी
Ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha | Shaahi Shayari
ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha

Ghazal

Ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha

Balbir Rathi

;

ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha
main aawazon ke jangal mein tab jaane kya DhunD raha tha

jin rahon se apne dil ka har qissa mansub raha hai
ab to ye bhi yaad nahin hai un rahon ka qissa kya tha

aaj usi ke afsanon ka mahfil mahfil charcha hoga
kal chaurahe par tanha jo shaKHs bahut KHamosh khaDa tha

yun jiwan ras kab deta hai phir se apne zaKHm kuredo
tum ne aaKHir kya socha tha dard se kyun sannyas liya tha

aisi koi baat nahin thi un rahon se lauT bhi aate
lekin un rahon pe kisi ne kuchh din apna sath diya tha

is nagri mein lag-bhag sab ne ek tarah se choTen khain
lekin zaKHmon ko sahlane ka sab ka andaza juda tha

tum un begani rahon mein aaKHir kis ko DhunD rahe ho
wo to kab ka lauT chuka hai kal jo tumhaare sath chala tha