ehsas mein phul khil rahe hain
patjhaD ke ajib silsile hain
kuchh itni shadid tirgi hai
aankhon mein sitare tairte hain
dekhen to hawa jami hui hai
sochen to daraKHt jhumte hain
suqraat ne zahr pi liya tha
hum ne jine ke dukh sahe hain
hum tujh se bigaD ke jab bhi uThe
phir tere huzur aa gae hain
hum aks hain ek dusre ka
chehre ye nahin hain aaine hain
lamhon ka ghubar chha raha hai
yaadon ke charagh jal rahe hain
suraj ne ghane sanobaron mein
jale se shuaon ke bune hain
yaksan hain firaq-o-wasl donon
ye marhale ek se kaDe hain
pa kar bhi to nind uD gai thi
kho kar bhi to rat-jage mile hain
jo din teri yaad mein kaTe the
mazi ke khanDar bane khaDe hain
jab tera jamal DhunDte the
ab tera KHayal DhunDte hain
hum dil ke gudaz se hain majbur
jab KHush bhi hue to roe hain
hum zinda hain ai firaq ki raat
pyari tere baal kyun khule hain
Ghazal
Ehsas mein phul khil rahe hain
Ahmad Nadeem Qasmi