ehsas ki diwar gira di hai chala ja
jaane ke liye yar jagah di hai chala ja
ai qais-numa shaKHs yahan kuchh nahin tera
tujh nam ki sahra mein munadi hai chala ja
duniya to chalo ghair thi shikwa nahin us se
tu ne bhi to auqat dikha di hai chala ja
ta koi bahana tere pairon se na lipTe
diwar se taswir haTa di hai chala ja
yak-tarfa mohabbat ka KHasara hai muqaddar
tujh KHwab ki tabir bata di hai chala ja
hum aise faqiron mein nahin mada-parasti
tera to miyan sher bhi madi hai chala ja
hai kaun rukawaT jo tujhe rok rahi hai
main ne to meri zat bhi Dha di hai chala ja
is shahr ke logon mein nahin quwwat-e-bardasht
ye shahr to sara hi fasadi hai chala ja
dastak ke liye uTTha hua hath na girta
KHamoshi ne tazir suna di hai chala ja
kuchh 'jaun' qabile se nahin tera talluq
har laDki yahan fariha-zadi hai chala ja
jaana teri fitrat hai bulana meri qismat
to aa ke chale jaane ka aadi hai chala ja
lagta hai tu kabul mein naya aaya hai pyare
afghan ka bachcha bhi jihadi hai chala ja
ai mom-badan tera guzara nahin mumkin
ye aag mein jalti hui wadi hai chala ja
afsos bahut der se aaya hai tu 'kashir'
is panch may ko meri shadi hai chala ja
Ghazal
Ehsas ki diwar gira di hai chala ja
Shozeb Kashir