ehsas ke sharar ko hua dene aaunga
main shahr-e-jaan ko rakh bana dene aaunga
likkhe the harf-e-shauq jo main ne tere liye
ab aansuon se un ko miTa dene aaunga
tu ne ata kiye hain mujhe kitne dard-o-gham
is lutf-e-KHas ka main sila dene aaunga
samjha diya hai tu ne mohabbat hai ek KHata
main is KHata ki KHud ko saza dene aaunga
aaya teri gali mein agar lauT kar kabhi
guzre hue dinon ko sada dene aaunga
paya tha rah-e-shauq mein jo karb-e-agahi
is karb-e-agahi ko sula dene aaunga
bahar nikal ke jism ke zindan se ek din
main tujh ko zindagi ki dua dene aaunga
main kushta-e-wafa sahi 'nasir' magar zarur
ek bewafa ko dad-e-wafa dene aaunga
Ghazal
Ehsas ke sharar ko hua dene aaunga
Nasir Zaidi